Posheeda Posheeda
پوشیدہ پوشیدہ – صابری قوال
دو دن بھی اگر میری سی حالت ہو جائے
معلوم شب غم کی حقیقت ہو جائے
بے جرم و خطا مجھ کو مٹانے والے
اللہ کرے تجھ کو محبت ہو جائے
do din bhī agar merī sī ḥālat ho jā’e
ma‘lūm shab-i gẖam kī ḥaqīqat ho jā’e
be-jurm o ḵẖat̤ā mujh ko miṭāne wāle
allāh kare tujh ko muhabbat ho jā’e
For merely two days, if your disposition becomes like mine
You will experience the reality of the night of sadness
Oh you, destroying me without any crime or fault
Godspeed, you may fall in love
اب صبر کرو نالۂ پیہم نہ کرو
جب میں ہی نہیں ہوں تو میرا غم نہ کرو
یہ اپنی رسوائی ہے اپنے ہاتھوں
لله میری لاش پہ ماتم نہ کرو
وہ ان کو میرا مرگِ ناگہاں نادیدہ نادیدہ
ab ṣabr karo nālah-i paiham nah karo
jab maiṅ hī nahīṅ hūṅ to merā gẖam nah karo
yih apnī ruswā’ī hai apne hāthon
lillāh merī lāsh pih mātam nah karo
wuh un ko merā marg-i nā-gahāṅ nā-dīdah nā-dīdah
Now be patient, and don’t complain constantly
If I am not, don’t grieve/mourn me
This disgrace is all my doing
For God’s sake, don’t mourn over my corpse
To them, my sudden death was unpalatable
سب کے ہونٹوں پہ تبسم تھا میرے قتل کے بعد
جانے کیا سوچ کے روتا رہا قاتل تنہا
sab ke honṭoṅ pih tabassum thā mere qatl ke ba‘d
jāne kyā soch ke rotā rahā qaatil tanhā
There was a smile on everyone’s lips after my execution
Unbeknownst, the killer kept crying in solitude
جگر بے چین لیکن گفتگو سنجیدہ سنجیدہ
عجب مستی بھری آنکھیں مگر ترسیده ترسیده
سرِ بالیں تبسم لب پہ دل رنجیدہ رنجیده
منایا جا رہا ہے میرا غم پوشیدہ پوشیدہ
jigar be-chain lekin guftugū sanjīdah sanjīdah
‘ajab mastī bharī ānkheṅ magar tarsīdah tarsīdah
sar-i bālīṅ tabassum lab pih dil ranjīdah ranjīdah
manāyā jā rahā hai merā gẖam poshīdah poshīdah
تماشہ دیکھئے میری لحد سے سر نہیں اٹھتا
مجھے خود ہی مٹا بیٹھے ہیں اور خود ہی پشیماں ہیں
منایا جا رہا ہے میرا غم پوشیدہ پوشیدہ
tamāshah dekhī’e merī laḥd se sar nahīṅ uṭhtā
mujhe ḵẖud hi miṭā baiṭhe haiṅ aur ḵẖud hī pashemāṅ haiṅ
manāyā jā rahā hai merā gẖam poshīdah poshīdah
یہ کب سے آ گئیں تبدیلیاں خیالوں میں
حضور کب سے غریبوں کے خیر خواہ ہوئے
منایا جا رہا ہے میرا غم پوشیدہ پوشیدہ
yih kab se ā ga’īṅ tabdīliyāṅ ḵẖayāloṅ meṅ
ḥuẓūr kab se gẖarīboṅ ke ḵẖair-ḵẖā hū’e
manāyā jā rahā hai merā gẖam poshīdah poshīdah
دمِ اخیر قیامت یہ ڈھا رہا ہے کوئی
کہ موت آنے کو ہے اور جا رہا ہے کوئی
میرے خدا مجھے تھوڑی سی زندگی دے دے
اداس میرے جنازے سے جا رہا ہے کوئی
دیکھو!
منایا جا رہا ہے میرا غم پوشیدہ پوشیدہ
dam-i aḵẖīr qiyāmat yih ḍhā rahā hai ko’ī
kih maut āne ko hai aur jā rahā hai ko’ī
mere khudā mujhe thoṛī sī zindagī de de
udās mere janāze se jā rahā hai ko’ī
dekho!
manāyā jā rahā hai merā gẖam poshīdah poshīdah
صبر و قرار چھینا صورت دکھا کے تو نے
برباد کر دیا دل دل میں سما کے تو نے
بستی اجاڑ ڈالی بستی بسا کے تو نے
ارے
اپنا بھی دل دکھایا مجھ کو مٹا کے تو نے
اب
منایا جا رہا ہے میرا غم پوشیدہ پوشیدہ
ṣabr o qarār chhīnā ṣūrat dikhā ke tū ne
bar-bād kar diyā dil dil meṅ samā ke tū ne
bastī ujāṛ ḍālī bastī basā ke tū ne
are
apnā bhī dil dukhāyā mujh ko miṭā ke tū ne
ab
manāyā jā rahā hai merā gẖam poshīdah poshīdah
بہت بدنام ہوگا حشر میں تو نام کے بدلے
انہیں شہرت سے کیا مطلب جو ہیں الله کے بندے
یہ نیت چھوڑ میری بندگی دیکھیں جہاں والے
مزہ جب ہے کہ دنیا پر نہ ہوں ظاہر تیرے سجدے
خدا کی تو عبادت کر مگر پوشیدہ پوشیدہ
bahut badnām hogā ḥashr meṅ tū nām ke badle
unheṅ shuhrat se kyā mat̤lab jo haiṅ allāh ke bande
yih nīyat chhoṛ merī bandagī dekheṅ jahāṅ wāle
mazah jab hai kih dunyā par nah hoṅ z̤āhir tere sajde
ḵẖudā kī tū ‘ibādat kar magar poshīdah poshīdah
سجدوں کا صلہ جنت مانگے
الله سے یہ اجرت مانگے
کرتا ہے عبادت کا سودا
زاہد نہ ہوا مزدور ہوا
بس!
خدا کی تو عبادت کر مگر پوشیدہ پوشیدہ
sajdoṅ kā ṣilah jannat mānge
allāh se yīh ujrat mānge
kartā hai ‘ibādat kā saudā
zāhid nah hu’ā mazdūr hu’ā
bas!
ḵẖudā kī tū ‘ibādat kar magar poshīdah poshīdah
کیا عبادت ہے تیری جب کہ تو یک سو ہی نہ تھا
رب تو موجود تھا اے شیخ وہاں تو ہی نہ تھا
دل ہے بھٹکا ہوا بے کیف نظر آتا ہے
تو عبادت میں بھی دنیا کی خبر رکھتا ہے
kyā ‘ibādat hai terī jab kih tū yak-sū hi nah thā
rabb to maujūd thā ay shaiḵẖ wahāṅ tū hī nah thā
dil hai bhaṭkā hu’ā be-kaif naz̤ar āta hai
tū ‘ibādat meṅ bhī dunyā kī ḵẖabar rakhtā hai
ایک دن
الله!
ایک دن مجنوں کا ایسا حال تھا
یادِ لیلیٰ میں سراپا چور تھا
خاکِ صحرا چھانتا پھرتا تھا وہ
ہائے لیلیٰ ہر گھڑی کرتا تھا وہ
ek din
allāh!
ek din majnuṅ kā aisā ḥāl thā
yād-i lailā meṅ sarāpā chūr thā
ḵẖāk-i ṣaḥrā chhānṭā phirtā thā wuh
hā’e lailā har ghaṛī kartā thā wuh
ہوشیاری دیکھئے دیوانے کی
سیر کرنے چل دیا ویرانے کی
آدمی ایک پڑھ رہا تھا واں نماز
دل میں کچھ رکھتا نہ تھا سوز و گداز
hoshyārī dekhiye dīwāne kī
sair karne chal diyā wīrāne kī
ādmī ek paṛh rahā thā wāṅ namāz
dil meṅ kuchh rakhtā nah thā soz o gudāz
کر رہا تھا وہ نمازِ حق ادا
مجنوں اس کے سامنے ہو کر چلا
ختم کر کے پھر نماز اس نے کہا
تجھ کو دوں اس فعل کی میں کیا سزا
kar rahā thā wuh namāz-i ḥaqq ‘adā
majnūṅ us ke sāmne ho kar chalā
khatm kar ke phir namāz us ne kahā
tujh ko dūn is fe‘l kī maiṅ kyā sazā
آ گیا میری عبادت میں خلل
سامنے سے تو گیا میرے نکل
بولا مجنوں میں نے لیلیٰ کی قسم دیکھا نہیں
ورنہ سامنے سجدے کے میں آتا نہیں
ā gaya merī ‘ibādat meṅ ḵẖalal
sāmne se tū gayā mere nikal
bolā majnūṅ maiṅ ne lailā ki qasam dekhā nahīṅ
warnah sāmne sajde ke maiṅ ātā nahīṅ
بولا مجنوں عشقِ لیلی میں سراپا چور تھا
اور دیکھنے سے میں تجھے مجبور تھا
پر تو خدا کے سامنے کیسا جھکا
اپنی آنکھوں سے رہا تو دیکھتا
bolā majnūṅ ‘ishq-i lailā meṅ sarāpā chūr thā
aur dekhne se maiṅ tujhe majbūr thā
par tū ḵẖudā ke sāmne kaisā jhukā
apnī ānkhoṅ se rahā tū dekhtā
مجھ کو تو ہے عشق فانی ذات کا
تجھ کو تو ہے عشق مولا ذات کا
کیا اسی کو کہتے ہیں سوز و گداز
جا نمازی دیکھ لی تیری نماز
بس!
خدا کی تو عبادت کر مگر پوشیدہ پوشیدہ
mujh ko to hai ‘ishq fānī ẕāt kā
tujh ko to hai ‘ishq maulā ẕāt ka
kyā isī ko kahte haiṅ soz o gudāz
jā namāzī dekh lī terī namāz
bas!
ḵẖudā kī tū ‘ibādat kar magar poshīdah poshīdah
لے کے تسبیح اور مصلا ایک عابد چل دیا
ڈھونڈنے الله کو صحرا میں وہ رہنے لگا
ایک ہرن بھی ساتھ میں اس کے وہاں رہنے لگا
اور اسی صحرا میں وہ بھی دوڑنے پھرنے لگا
le ke tasbīḥ aur muṣallā ek ‘ābid chal diyā
ḍhūnḍne allāh ko ṣaḥrā meṅ wuh rahne lagā
ek haran bhī sāth meṅ us ke wahāṅ rahne lagā
aur usī ṣaḥrā meṅ wuh bhī dauṛne phirne lagā
ایک دن زاہد نے پوچھا یار یہ کیا بات ہے
عرصۂ مدت سے تیرا اور میرا ساتھ ہے
تجھ کو بیٹھے دیکھتا ہوں اور نہ سوتے دیکھتا
جا بجا پھرتا ہے تو اور یا کہ رہتا ہے کھڑا
ek din zāhid ne pūchhā yār yih kyā bāt hai
‘arṣa-i muddat se terā aur merā sāth hai
tujh ko baiṭhe dekhtā hūṅ aur nah sote dekhtā
jā ba-jā phirtā hai tū aur yā kih rāhtā hai khaṛā
سن کے بولا یہ ہرن تعجب کی کیا بات ہے
عاشقوں کے واسطے کیا دن ہے اور کیا رات ہے
میرے اندر مشک ہے میں اس لئے رہتا ہوں مست
تیرے اندر عشق ہے تو اس لئے رہتا ہے مست
sun ke bolā yih haran ta‘jjub kī kyā bāt hai
‘āshiqoṅ ke wāst̤e kyā din hai aur kyā rāt hai
mere andar mushk hai maiṅ is liye rahtā hūn mast
tere andar ‘ishq hai tū is liye rahtā hai mast
مشک کی خوشبو سے ہر دم دوڑتا پھرتا ہوں میں
اپنی آنکھوں سے خدا کو دیکھتا رہتا ہوں میں
اُس سے ملنے کا طریقہ آ تو مجھ سے سیکھ لے
عشق میں ہستی مٹا دے پھر تو الله دیکھ لے
خدا کے واسطے!
خدا کے واسطے زاہد نہ کر نمائشی سجدے
خدا کی تو عبادت کر مگر پوشیدہ پوشیدہ
mushk kī ḵẖush-bū se har dam dauṛtā phirtā hūṅ maiṅ
apnī aankhoṅ se ḵẖudā ko dekhtā rahtā hūṅ maiṅ
us se milne ka t̤arīqah ā tū mujh se sīkh le
‘ishq meṅ hastī miṭā de phir tū allāh dekh le
ḵẖudā ke wāst̤e!
ḵẖudā ke wāste zāhid nah kar numā’ishī sajde
ḵẖudā kī tū ‘ibādat kar magar poshīdah poshīdah
جہاں تک ہو سکے مظلوم کو رونے نہیں دیتے
کسی نادار کو بھوکا کبھی سونے نہیں دیتے
وقارِ پردہ پوشی خلق پر کھونے نہیں دیتے
خبر اِس ہاتھ کی اِس ہاتھ کو ہونے نہیں دیتے
سخی خیرات کرتے ہیں مگر پوشیدہ پوشیدہ
jahāṅ tak ho sake maz̤lūm ko rone nahīṅ dete
kisī nā-dār ko bhūkā kabhī sone nahīṅ dete
waqār-i pardah-poshī ḵẖalq par khone nahīṅ dete
ḵẖabar is hāth kī is hāth ko hone nahīṅ dete
saḵẖī ḵẖairāt karte haiṅ magar poshīdah poshīdah
تمہارے سامنے بیٹھا ہوا ہوں سخت مشکل میں
مسافر جیسے آ جاتا ہے وحشت ناک منزل میں
بیان کرتے ہوئے ڈرتا ہوں جو کچھ ہے مرے دل میں
بری کچھ اور تو باتیں نہیں ہیں تیری محفل میں
مگر یہ چپکے چپکے گفتگو پوشیدہ پوشیدہ
tumhāre sāmne baiṭhā hu’ā hūṅ saḵẖt mushkil meṅ
musāfir jaise ā jātā hai waḥshat-nāk manzil meṅ
bayāṅ karte hu’e ḍartā hūṅ jo kuchh hai mire dil meṅ
burī kuchh aur to bāteṅ nahīṅ haiṅ terī maḥfil meṅ
magar yīh chupke chupke guftugū poshīdah poshīdah
اب
کسی گھر کی طرف تکنا کبھی پھر مڑ کے گھبرانا
کہیں پر چاندنی کو دیکھ کر سائے میں چھپ جانا
قمر اک ہی نے کیا لاکھوں ستاروں نے نہ پہچانا
عجب انداز سے وعدے پہ ان کا رات کو آنا
دبے پاؤں نظر بہکی ہوئی پوشیدہ پوشیدہ
منایا جا رہا ہے میرا غم پوشیدہ پوشیدہ
ab
kisī ghar kī t̤araf taknā kabhī phir muṛ ke ghabrānā
kahīṅ par chāndanī ko dekh kar sā’e meṅ chhup jānā
qamar ik hi ne kyā lākhoṅ sitāroṅ ne nah pahchānā
‘ajab andāz se wa‘de pih un kā rāt ko ānā
dabe pā’ūṅ naz̤ar bahkī hu’ī poshīdah poshīdah
manāyā jā rahā hai merā gẖam poshīdah poshīdah
Transliterated by Zahra Sabri